Tumhe Mera Salam Lyrics | Nishane Baazi

                        
                        roja re sulja hain sabhi ki nigah me
har koi ja raha hain, khuda ki panah me
allah ho maula pek, sabhi ke labo pe
ye karwa chala hain, madine ki raah me, madine ki raah me
mera salam kamali wale ke naam
mera salam kamali wale ke naam

ye haj ko jane walo, ye haj ko jane walo
mubarak ho ye safar
ghar chhod ke chale ho, tum allah ke naam par
tumhe salam mera salam
tumhe salam mera salam

haji bane har ek muslman ka khwab hain
haj hain shavab haj ka krana shavab hain
shahre madina ek, mahakta gulab hain
khushbu se jiski banda har ke faijyab hain
mera nabi khuda ka, hansi intkhab hain

mahbub ka javab na rab ka javab hain
sabke liye khula hain
sabke liye khula hain, mere mustafa ke dar
ghar chhod kar chale ho, tum allah ke naam par
tumhe salam mera salam
tumhe salam mera salam

jinka bulawa aaya, wahi haj ko jayenge
jinka nasib jaga, unhi ko bulayenge
duniya se jitne haji madine me aayenge
wada hain ye nabi ka vo bigadi banayenge
chaukhat pe jo hujur ki, sar ko jhukayenge
dono jaha ki sari, murade wo payenge
unki koi dua
unki koi dua, kabhi hogi na beasar
ghar chhod kar chale ho, tum allah ke naam par
tumhe salam mera salam
tumhe salam mera salam

mera salam kamali wale ke naam
mera salam kamali wale ke naam
meri bhi aarju thi, madine ko dekhta
karta namaj masjide, navbi me main ada
kawe ke gird ghumta, main sat martaba
shaitan jitane hain, unhe kankad se marta

lekin mere nasib me, ye haj likha na tha
main jana chahta tha, magar ja nahi saka
majburiyo ki meri
majburiyo ki meri, mohammad ko hain khabar
ghar chhod kar chale ho, tum allah ke naam par
tumhe salam mera salam
tumhe salam mera salam
ye haj ko jane walo, mubarak ho ye safar
ghar chhod ke chale ho, tum allah ke naam par
mera salam aakhri salam
mera salam aakhri salam.