Khubsurat Hai Wo Itna Saha Nahi Jata (Male) Lyrics | Rog

Lyricist :
Music Director : Pooja Bhatt , M M Keeravani
Singer : M M Keeravani
                        
                        khubsurat hai wo itna saha nahi jata
kaise ham khud ko rok le raha nahi jata
khubsurat hai wo itna saha nahi jata
kaise ham khud ko rok le raha nahi jata
chaand me daag hai ye jaante hai ham lekin
raat bhar dekhe binaa usko raha nahi jata
khubsurat hai wo itna saha nahi jata

jo meraa ho nahi payega is jahaan me kahi
ruh ban kar milungaa usko aasmaan me kahi
pyaar dharati par farishto se kiyaa nahi jata
khubsurat hai wo itna saha nahi jata

un nigaaho me mohabbat nahi to kaho aur kya hai
par wo mujhase ye kah rahaa wo kisi aur kaa hai
zaraa saa jhuth bhi dhang se kahaa nahi jata
khubsurat hai wo itna saha nahi jata

aankh me kaid kiye baitha main ek hasi lamha
jab main is nind se jagunga to dil tutegaa
wo mujhe khwaab koi kyun dikha nahi jata
khubsurat hai wo itna saha nahi jata