Jawab Aata Hai Jab Dilbar Ka Lyrics | Shagufa

                        
                        Jawaab aataa hai jab dilbar kaa
To dil kho hi jaataa hai
Mohabbat wo nashaa hai
Bepiye jo ho hi jaataa hai

Ye kaisi khushi hai ye kaisa nasha hai
Mujhe kyaa huaa hai mujhe kya hua hai
Ye kaisi khushi hai ye kaisa nasha hai
Mujhe kyaa huaa hai mujhe kya hua hai

Kadam dolate hai nazar jhumati hai
Kadam dolate hai nazar jhumati hai
Tasavur mein jaise zami ghumati hai
Tasavur mein jaise zami ghumati hai
Khayaalo me koi chalaa aa rahaa hai
Mujhe kyaa hua hai

Khabar dilarubaa tere aane ki aayi
Mohabbat ki duniya mein chhalki surahi
Khabar dilarubaa tere aane ki aayi
Mohabbat ki duniya mein chhalki surahi
Mera dil hawa mein udaa jaa raha hai
Mujhe kyaa huaa hai.