Bhagwan Tumne Kya Kiya Lyrics | Shri Ganesh Vivah

                        
                        Bhagwan tumne kya kiya
Yeh kaun sa badla liya
Jisko diya tumne janam
Uska hi jiwan le liya
Bhagwan tumne kya kiya

Bhagwan tumne kya kiya
Ye kaun sa badla liya
Jisko diya tumne janam
Uska hi jiwan le liya
Bhagwan tumne kya kiya

Mana ke tera ab jag sara
Chanda suraj se ujiyara
Mana ke tera ab jag sara
Chanda suraj se ujiyara
Par jise tumhi ne bujha diya
Tere hi ghar ka tha diya
Bhagwan tumne kya kiya

Tum khel maran ka yun khelo
Jab umar dhale tab tan lelo
Tum khel maran ka yun khelo
Jab umar dhale tab tan lelo
Par bhole nath kaha tumne
Ek bhola bachpan le liya
Bhagwan tumne kya kiya

Kahte hai tum rakhwale ho
Jo mango dene wale ho
Kahte hai tum rakhwale ho
Jo mango dene wale ho
Par sada charan jo dhoti rahi
Us nari na dhan le liya
Bhagwan tumne kya kiya

Bhagwan tumne kya kiya
Ye kaun sa badla liya
Jisko diya tumne janam
Uska hi jiwan le liya
Bhagwan tumne kya kiya.