Tum Jo Bhi Ho Lyrics | Surakksha

                        
                        Tum jo bhi ho dil aaj do
Kal yeh sama phir ho na ho
Hume jo kehna tha humne keh diya
Kuch to maherban tum bhi kaho
Dil dhadakta hai darr sa lagta hai
Main lut jaau kahi aisa na ho
Tum jo bhi ho dil aaj do
Kal yeh sama phir ho na ho

Jaane tum ab kaisi kaisi chal chalogi
Jaane kitano ka bura haal karogi
Jisko chahogi usko nihaal karogi
Tum jo bhi karogi kamal karogi
Tum jo bhi ho dil aaj do
Kal yeh sama phir ho na ho
Hume jo kehna tha humne keh diya
Kuch to maherban tum bhi kaho
Dil dhadakta hai darr sa lagta hai
Main lut jaau kahi aisa na ho
Tum jo bhi ho dil aaj do
Kal yeh sama phir ho na ho

Chehra tumhara bada bhola bhala hai
Dilo pe sitam yeh sidhane wala hai
Kispe tumhara dil aane wala hai
Aaj koi duniya se jaane wala hai
Tum jo bhi ho dil aaj do
Kal yeh sama phir ho na ho
Hume jo kehna tha humne keh diya
Kuch to maherban tum bhi kaho
Dil dhadakta hai darr sa lagta hai
Main lut jaau kahi aisa na ho
Tum jo bhi ho dil aaj do
Kal yeh sama phir ho na ho

Hum to hasino se hai kehte yahi
Husn ki umar to hai gadi do gadi
Maut ke saye mein palati hai zindagi
Abhi hai ujala to andhera hai abhi
Tum jo bhi ho dil aaj do
Kal yeh sama phir ho na ho
Hume jo kehna tha humne keh diya
Kuch to maherban tum bhi kaho
Dil dhadakta hai darr sa lagta hai
Main lut jaau kahi aisa na ho
Tum jo bhi ho dil aaj do
Kal yeh sama phir ho na ho.