Tareefe Meena Bazaar Lyrics | Taj Mahal An Eternal Love Story

                        
                        Har ek dil yaha ek dil talaash karta hain
Wafa ki pyaar ki manzil talaash karta hain

Yaha parwaane shama se karib hote hain
Hasin nazaro pe shehjaade shahid hote hain

Yaha dil lene dene ki ada bhi kaatil hain
Yaha ke waade bahut dilnashin hote hain

Jo bekarar kare woh karaar kehate hain
Iss bajaar ko mina bajaar kehte hain.