Mujhko To Peeni Hai Lyrics | Upaasna

Lyricist : Indeevar
Music Director : Mohan , Kalyanji-Anandji
Singer : Asha Bhosle
                        
                        bahut der ki aane me
haye re kya paya tadpane me
pio pilao ji bhar ke
aaye ho jab maykhane me
pio na thodi si
pyas meri na bujha payega ek paimana
pyas meri na bujha payega ek paimana
mujhko to pina hai maykhane ka maykhana
pyas meri na bujha payega ek paimana

mere liye mera jivan sapna hai
sapne me tu kya har koi apna hai
yahi hai jivan tu ji le
yahi hai jivan tu ji le
pal pal ka tu ras pile pile ji le
dil ko na rahne de virane ka virana
mujhko to pina hai maykhane ka maykhana
pyas meri na bujha payega ek paimana

aur bhi hai mere rup kai so aise
ek hi rat me tu dekhega sab kaise
kal bhi tune na pehchana
kal bhi tune na pehchana
aaj bhi tune kab jana janu jana
samjhega tu kaise diwane ka diwana
mujhko to pina hai maykhane ka maykhana
pyas meri na bujha payega ek paimana
mujhko to pina hai maykhane ka maykhana
maykhane ka maykhana