Lamha Lamha Mera Hone Laga Hai Tera Lyrics | Ye Stupid Pyar

                        
                        lamha lamha mera hone laga hai tera
ba khuda tum me khone laga hu jara
lamha lamha mera hone laga hai tera
ba khuda tum me khone laga hu jara
hosh ho rahe hai gum, mai hone laga hu tum
jab se tum mile ho jane jana
sab kuch hai badla badla, lagne laga naya naya
tum me dhalne laga hu jane jaana

darmiya dil ke ab to tera hi khyal hai ho
us jaham jindagi makhmali sa haal hai
ankahi bate ab to saj rahi juban par
sidha sa ru tera bhari hai imaan par
rafta rafta mera hone laga sab tera
hu ba khuda tum me khone laga hu jara
hosh ho rahe hai gum, mai hone laga hu tum
jab se tum mile ho jane jana
sab kuch hai badla badla, lagne laga naya naya
tum me dhalne laga hu jane jaana

jara si bekarari hai jara sa khumar hai
pahali baar jana maine hota kya pyar hai
silsile chahat ke ab junun me badal rahe
armaan dil ke ab to karwate badal rahe
bahaka bahaka dil mera ashik hua tera
vo ho ba khuda tum me khone laga hu jara
hosh ho rahe hai gum, mai hone laga hu tum
jab se tum mile ho jane jana
sab kuch hai badla badla, lagne laga naya naya
tum me dhalne laga hu jane jaana.